Sunday, October 14, 2012

aaina-e-kaaghaz uthaaiye


sabj hogi ye dharti fir se kabhi,baadalon ka bharosha nahi kijiye
aayiye aake kyaari laga dijiye,hakumaton ko bhi kosa nahi kijiye

do niwaale bacha ke kahaan kho gaye,bacche bin khaaye so gaye
bhul jaayen ranjish bad-rasm-o-riwaaj,ghaflat ka roza nahi kijiye

aapke haath ka ye likha khat bahut,aasmaa.n hai nahi,magar chat bahut
dhund lijey kinhi harfon me hame ,chaand taaron me khoja nahi kijiye

aaino ke mukhaatib nahi jaaiye ,aaina-e-kaaghaz uthaaiye,
lijiye ye kalam ka tohfa ,apni syaahi se dhokha nahi kijiye

main juda tu juda ,aye khuda o khuda ,hain kahaa.n raasta,
hona hoga jo hoga ho jaayega,hausla hai, socha nahi kijiye

***
sabj:green
roza:fasting
ghaflat :negligience

No comments:

Post a Comment

मेरी जुस्तजू पर और सितम नहीं करिए अब

मेरी जुस्तजू पर और सितम नहीं करिए अब बहुत चला सफ़र में,ज़रा आप भी चलिए अब  आसमानी उजाले में खो कर रूह से दूर न हो चलिए ,दिल के गलियारे में ...